jahan ki bhiD mein yakta dikhai deta hai
jahāñ kī bhiiḌ meñ yaktā dikhā.ī detā hai
vo ek shaḳhs jo pyārā dikhā.ī detā hai
kabhī vo chāñd zamīñ kā mujhe hai aatā nazar
kabhī vo aa.ina rab kā dikhā.ī detā hai
vo ḳhāmushī bhī hai suntā mirī sadā kī tarah
vo ruuh bhar se shanāsā dikhā.ī detā hai
vo sāz-e-hastī kī chhiḌtī huī koī sargam
lab-e-hayāt kā bosa dikhā.ī detā hai
jahan ki bhiD mein yakta dikhai deta hai
wo ek shaKHs jo pyara dikhai deta hai
kabhi wo chand zamin ka mujhe hai aata nazar
kabhi wo aaina rab ka dikhai deta hai
wo KHamushi bhi hai sunta meri sada ki tarah
wo ruh bhar se shanasa dikhai deta hai
wo saz-e-hasti ki chhiDti hui koi sargam
lab-e-hayat ka bosa dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.