jahan ko abhi tab-e-ulfat nahin hai
Interesting Fact
November 1944
jahāñ ko abhī tāb-e-ulfat nahīñ hai
bashar meñ abhī ādmiyyat nahīñ hai
takalluf agar hai haqīqat nahīñ hai
tasanno' zabān-e-mohabbat nahīñ hai
zarūrī ho jis ke liye ek dozaḳh
vo mere tasavvur kī jannat nahīñ hai
mire dil meñ ik to hai tujh se hasīñ-tar
mujhe ab tirī kuchh zarūrat nahīñ hai
mohabbat yaqīnan ḳhilāf-e-ḳhirzad hai
magar 'aql hī ik haqīqat nahīñ hai
use ek betābī-e-shauq samjho
taġhāful kā shikva shikāyat nahīñ hai
mujhe kar ke chup koī kahtā hai hañs kar
unheñ baat karne kī 'ādat nahīñ hai
kabhī ho sakegā na 'mullā' kā īmāñ
jis īmāñ meñ dil kī nubuvvat nahīñ hai
jahan ko abhi tab-e-ulfat nahin hai
bashar mein abhi aadmiyyat nahin hai
takalluf agar hai haqiqat nahin hai
tasanno' zaban-e-mohabbat nahin hai
zaruri ho jis ke liye ek dozaKH
wo mere tasawwur ki jannat nahin hai
mere dil mein ek to hai tujh se hasin-tar
mujhe ab teri kuchh zarurat nahin hai
mohabbat yaqinan KHilaf-e-KHirzad hai
magar 'aql hi ek haqiqat nahin hai
use ek betabi-e-shauq samjho
taghaful ka shikwa shikayat nahin hai
mujhe kar ke chup koi kahta hai hans kar
unhen baat karne ki 'adat nahin hai
kabhi ho sakega na 'mulla' ka iman
jis iman mein dil ki nubuwwat nahin hai
- Book : Kulliyat-e-Anand Narayan Mulla (Pg. 267)
- Author : Khaliq Anjum
- Publication : National Council for Promotion of Urdu Language-NCPUL (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.