jahan lamha-e-sham bikher diya
jahāñ lamha-e-shām bikher diyā
vahīñ ik paiġhām bikher diyā
ḳhud us ke qadmoñ meñ apnā
sab puḳhta-o-ḳhām bikher diyā
chālāk parinda thā vo bhī
ham ne bhī daam bikher diyā
jitnī taklīf ikaTThā kī
utnā ārām bikher diyā
darvāza kholā jaldī se
aur saarā kaam bikher diyā
jahan lamha-e-sham bikher diya
wahin ek paigham bikher diya
KHud us ke qadmon mein apna
sab puKHta-o-KHam bikher diya
chaalak parinda tha wo bhi
hum ne bhi dam bikher diya
jitni taklif ikaTTha ki
utna aaram bikher diya
darwaza khola jaldi se
aur sara kaam bikher diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.