jahan mabud Thahraya gaya hun
jahāñ ma.abūd Thahrāyā gayā huuñ
vahīñ suulī pe laTkāyā gayā huuñ
sunā har baar merā kalma-e-sidq
magar har baar jhuThlāyā gayā huuñ
kabhī maazī kā jaise tazkira ho
zabāñ par is tarah laayā gayā huuñ
abhī tadfīn baaqī hai abhī to
lahū se apne nahlāyā gayā huuñ
davāmī azmatoñ ke maqbare meñ
hazāroñ baar dafnāyā gayā huuñ
taras kaisā ki is dār-ul-balā meñ
azal ke din se tarsāyā gayā huuñ
na jaane kaun se sāñche meñ Dhāleñ
abhī to sirf pighlāyā gayā huuñ
maiñ is hairat-sarā-e-āb-o-gil meñ
ba-hukm-e-ḳhās bhejvāyā gayā huuñ
jahan mabud Thahraya gaya hun
wahin suli pe laTkaya gaya hun
suna har bar mera kalma-e-sidq
magar har bar jhuThlaya gaya hun
kabhi mazi ka jaise tazkira ho
zaban par is tarah laya gaya hun
abhi tadfin baqi hai abhi to
lahu se apne nahlaya gaya hun
dawami azmaton ke maqbare mein
hazaron bar dafnaya gaya hun
taras kaisa ki is dar-ul-bala mein
azal ke din se tarsaya gaya hun
na jaane kaun se sanche mein Dhaalen
abhi to sirf pighlaya gaya hun
main is hairat-sara-e-ab-o-gil mein
ba-hukm-e-KHas bhejwaya gaya hun
- Book : intekhab-e-zarrin (Pg. 289)
- Author : Khvaja Mohammad Zakariya
- Publication : Sangeet publication (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.