jahan mein hausla-e-izz-o-nam paida kar
jahāñ meñ hausla-e-'izz-o-nām paidā kar
pas-e-fanā bhī baqā-e-davām paidā kar
jigar meñ lazzat-e-soz-e-davām paidā kar
dayār-e-ishq meñ apnā maqām paidā kar
baras paḌeñgī nigāheñ chahār jānib se
faroġh-e-jalva-e-māh-e-tamām paidā kar
naved-e-shauq tirī rā.egāñ na jā.egī
magar salīqa-e-arz-e-payām paidā kar
sukūn-e-sāhil-e-dariyā na DhūñD dariyā meñ
misāl-e-mauj-e-jahanda ḳhirām paidā kar
har ek fard ho millat kā nāzish-e-daurāñ
nizām-e-dahr meñ aisā nizām paidā kar
na ho farefta-e-sāġhar-o-ḳhum-e-maġhrib
vatan kī ḳhaak se mīnā-o-jām paidā kar
agar hai hausla-e-dīd-e-shāhid-e-maqsūd
to pahle zauq-e-tamāshā-e-bām paidā kar
ḳhudī kī quvvat-e-pinhāñ se kaam le hama-dam
diloñ meñ ġhair ke bhī ehtirām paidā kar
farefta dil-e-sayyād bhī ho o bulbul
na.ī tarah kī taḌap zer-e-dām paidā kar
nazar na ā.eñge yuuñ jalva-hā-e-rangā-rang
jadīd zauq-e-nazar sub.h-o-shām paidā kar
pasand hai tujhe kyoñ pastī-e-zamīñ āḳhir
falak se bhī kahīñ a.alā maqām paidā kar
buland-hauslagī hai shi.ār-e-ahl-e-ḳhirad
hilāl toḌ de māh-e-tamām paidā kar
hai maut qatra-e-ahqar kī dūrī-e-dariyā
ba-rang-e-mauj visāl-e-davām paidā kar
'valī' badal de urūs-e-suḳhan kā rang-e-kuhan
misāl-e-hazrat-e-'iqbāl' naam paidā kar
jahan mein hausla-e-'izz-o-nam paida kar
pas-e-fana bhi baqa-e-dawam paida kar
jigar mein lazzat-e-soz-e-dawam paida kar
dayar-e-ishq mein apna maqam paida kar
baras paDengi nigahen chahaar jaanib se
farogh-e-jalwa-e-mah-e-tamam paida kar
nawed-e-shauq teri raegan na jaegi
magar saliqa-e-arz-e-payam paida kar
sukun-e-sahil-e-dariya na DhunD dariya mein
misal-e-mauj-e-jahanda KHiram paida kar
har ek fard ho millat ka nazish-e-dauran
nizam-e-dahr mein aisa nizam paida kar
na ho farefta-e-saghar-o-KHum-e-maghrib
watan ki KHak se mina-o-jam paida kar
agar hai hausla-e-did-e-shahid-e-maqsud
to pahle zauq-e-tamasha-e-baam paida kar
KHudi ki quwwat-e-pinhan se kaam le hama-dam
dilon mein ghair ke bhi ehtiram paida kar
farefta dil-e-sayyaad bhi ho o bulbul
nai tarah ki taDap zer-e-dam paida kar
nazar na aaenge yun jalwa-ha-e-ranga-rang
jadid zauq-e-nazar subh-o-sham paida kar
pasand hai tujhe kyon pasti-e-zamin aaKHir
falak se bhi kahin aala maqam paida kar
buland-hauslagi hai shiar-e-ahl-e-KHirad
hilal toD de mah-e-tamam paida kar
hai maut qatra-e-ahqar ki duri-e-dariya
ba-rang-e-mauj visal-e-dawam paida kar
'wali' badal de urus-e-suKHan ka rang-e-kuhan
misal-e-hazrat-e-'iqbaal' nam paida kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.