jahan mein kitna pur-asar tera kalam ho gaya
jahāñ meñ kitnā pur-asar tirā kalām ho gayā
ki jis kā naam le liyā usī kā naam ho gayā
tum aa ga.e to chehra-e-hayāt muskurā uThā
bahār aa.ī mausam-e-ḳhizāñ tamām ho gayā
jo mai-kade meñ aa gayā ye us kā apnā zarf hai
nazar meñ jazb ho gayā ki ġharq-e-jām ho gayā
ye shā'iroñ kī baat hai ise 'ajīb mat kaho
milā jo dard ik ġhazal kā ehtimām ho gayā
hañsī 'humairā' aa rahī hai mujh ko soch soch kar
ki shā'iroñ kī bazm meñ tirā maqām ho gayā
jahan mein kitna pur-asar tera kalam ho gaya
ki jis ka nam le liya usi ka nam ho gaya
tum aa gae to chehra-e-hayat muskura uTha
bahaar aai mausam-e-KHizan tamam ho gaya
jo mai-kade mein aa gaya ye us ka apna zarf hai
nazar mein jazb ho gaya ki gharq-e-jam ho gaya
ye sha'iron ki baat hai ise 'ajib mat kaho
mila jo dard ek ghazal ka ehtimam ho gaya
hansi 'humaira' aa rahi hai mujh ko soch soch kar
ki sha'iron ki bazm mein tera maqam ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.