jahan mein koi haqiqat bhi be-hijab nahin
jahāñ meñ koī haqīqat bhī be-hijāb nahīñ
urūs-e-marg ke muñh par magar naqāb nahīñ
talab hai husn-e-haqīqī kī fasl-e-gul bar-dosh
ye vo kitāb hai jis meñ ḳhizāñ kā baab nahīñ
ishāra kun hai haqīqat kā bahr-e-be-pāyāñ
ta.ayyunāt kā hāsil ba-juz habāb nahīñ
ye ābshār o gul o kohsār o māh-o-nujūm
muzāhire haiñ magar husn bā-naqāb nahīñ
maiñ be-piye tirī āñkhoñ ko baḌh ke chuum na luuñ
rahīn-e-minnat-e-mai mastī-e-shabāb nahīñ
fareb-e-vahm hai 'āġhā' ye ḳhud-farāmoshī
ba-hosh-bāsh nazar terī kāmyāb nahīñ
jahan mein koi haqiqat bhi be-hijab nahin
urus-e-marg ke munh par magar naqab nahin
talab hai husn-e-haqiqi ki fasl-e-gul bar-dosh
ye wo kitab hai jis mein KHizan ka bab nahin
ishaara kun hai haqiqat ka bahr-e-be-payan
tayyunat ka hasil ba-juz habab nahin
ye aabshaar o gul o kohsar o mah-o-nujum
muzahire hain magar husn ba-naqab nahin
main be-piye teri aankhon ko baDh ke chum na lun
rahin-e-minnat-e-mai masti-e-shabab nahin
fareb-e-wahm hai 'agha' ye KHud-faramoshi
ba-hosh-bash nazar teri kaamyab nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.