jahan mein mast-e-alast intiKHab kya karte
Interesting Fact
(May 1934)
jahāñ meñ mast-e-alast intiḳhāb kyā karte
subū-o-shīsha-o-jām-e-sharāb kyā karte
har ek zarra hai ā.īna-dār-e-husn-e-sanam
nigāh-e-ġhaur se ham intiḳhāb kyā karte
hai inqalāb kī tafsīr daftar-e-hastī
ham is sahīfe se phir iktisāb kyā karte
faroġh-e-husn se ḳhīra nigāh-e-ishq huī
tajalliyoñ ko vo zer-e-naqāb kyā karte
ye hai vo ne.amat-e-nāyāb jo hai jān-e-hayāt
luTā chuke jo matā-e-shabāb kyā karte
kahāñ vo himmateñ baaqī kahāñ vo dil vo dimāġh
salaf kā haal meñ paidā javāb kyā karte
rahīn-e-jumbish-e-mauj-e-fanā hai kashtī-e-umr
uThā ke sar yahāñ misl-e-habāb kyā karte
azal se rū-ba-taġhayyur nizām-e-ālam hai
bapā ham is meñ koī inqilāb kyā karte
hai kār-zār-e-amal garm chār-sū 'tālib'
matā-e-vaqt kī miTTī ḳharāb kyā karte
jahan mein mast-e-alast intiKHab kya karte
subu-o-shisha-o-jam-e-sharab kya karte
har ek zarra hai aaina-dar-e-husn-e-sanam
nigah-e-ghaur se hum intiKHab kya karte
hai inqalab ki tafsir daftar-e-hasti
hum is sahife se phir iktisab kya karte
farogh-e-husn se KHira nigah-e-ishq hui
tajalliyon ko wo zer-e-naqab kya karte
ye hai wo neamat-e-nayab jo hai jaan-e-hayat
luTa chuke jo mata-e-shabab kya karte
kahan wo himmaten baqi kahan wo dil wo dimagh
salaf ka haal mein paida jawab kya karte
rahin-e-jumbish-e-mauj-e-fana hai kashti-e-umr
uTha ke sar yahan misl-e-habab kya karte
azal se ru-ba-taghayyur nizam-e-alam hai
bapa hum is mein koi inqilab kya karte
hai kar-zar-e-amal garm chaar-su 'talib'
mata-e-waqt ki miTTi KHarab kya karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.