jahan na dost na gulchin na baghban mera
jahāñ na dost na gulchīñ na bāġhbāñ merā
phir is chaman meñ rahe kyūñkar āshiyāñ merā
sharīk-e-hāl bure vaqt meñ ye hotā hai
sivā.e ġham ke nahīñ koī mehrbāñ merā
ilāhī ḳhāna-e-sayyād par gire bijlī
ki fasl-e-gul meñ jalāyā hai āshiyāñ merā
kuchh āj-kal ke sitam kā gila nahīñ us se
azal ke roz se dushman hai āsmāñ merā
tumhāre ġham ke sivā merī jaan duniyā meñ
na koī dost hai merā na mehrbāñ merā
na ḳhauf charḳh kā phir ho na ġhair kā khaTkā
jo tum ho mere to jaano ki hai jahāñ merā
vo faash kartā hai parda to ye chhupātī hai
zamīn dost hai dushman hai āsmāñ merā
zabāñ vo 'dāġh' ke sadqe meñ paa.ī hai 'mahmūd'
ki shā.erī meñ nahīñ koī ham-zabāñ merā
jahan na dost na gulchin na baghban mera
phir is chaman mein rahe kyunkar aashiyan mera
sharik-e-haal bure waqt mein ye hota hai
siwae gham ke nahin koi mehrban mera
ilahi KHana-e-sayyaad par gire bijli
ki fasl-e-gul mein jalaya hai aashiyan mera
kuchh aaj-kal ke sitam ka gila nahin us se
azal ke roz se dushman hai aasman mera
tumhaare gham ke siwa meri jaan duniya mein
na koi dost hai mera na mehrban mera
na KHauf charKH ka phir ho na ghair ka khaTka
jo tum ho mere to jaano ki hai jahan mera
wo fash karta hai parda to ye chhupati hai
zamin dost hai dushman hai aasman mera
zaban wo 'dagh' ke sadqe mein pai hai 'mahmud'
ki shaeri mein nahin koi ham-zaban mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.