jahan ne gham diya gham ne mujhe sachchaiyan baKHshin
jahāñ ne ġham diyā ġham ne mujhe sachchā.iyāñ baḳhshīñ
nazar ko vus.ateñ aur fikr ko gahrā.iyāñ baḳhshīñ
karam-farmā.iyāñ ahl-e-jahāñ kī yaad ā.eñgī
dabī choToñ ko mausam ne agar purvā.iyāñ baḳhshīñ
kahāñ aatī thī ahl-e-anjuman kī nāz-bardārī
chalo achchhā huā us ne mujhe tanhā.iyāñ baḳhshīñ
ba-pās-e-vaza-dārī ab bhī un galiyoñ meñ jaatā huuñ
jahāñ ke rahne vāloñ ne mujhe rusvā.iyāñ baḳhshīñ
mirī qismat meñ to likkhe haiñ yaaro dard ġham aañsū
mujhe kab raas ā.eñgī agar shahnā.iyāñ baḳhshīñ
muqayyad the agarche shīsh-mahloñ meñ hasīñ paikar
magar raushan charāġhoñ ne hameñ parchhā.iyāñ baḳhshīñ
tilism-e-be-hisī TuuTā shu.ūr-e-āgahī jaagā
nigāh-e-shauq ne jab husn ko añgḌā.iyāñ baḳhshīñ
hamāre ashk-e-ġham 'tālib' sharāre hī sahī phir bhī
sharāroñ hī ne rū-e-zīst ko ra.anā.iyāñ baḳhshīñ
jahan ne gham diya gham ne mujhe sachchaiyan baKHshin
nazar ko wusaten aur fikr ko gahraiyan baKHshin
karam-farmaiyan ahl-e-jahan ki yaad aaengi
dabi choTon ko mausam ne agar purwaiyan baKHshin
kahan aati thi ahl-e-anjuman ki naz-bardari
chalo achchha hua us ne mujhe tanhaiyan baKHshin
ba-pas-e-waza-dari ab bhi un galiyon mein jata hun
jahan ke rahne walon ne mujhe ruswaiyan baKHshin
meri qismat mein to likkhe hain yaro dard gham aansu
mujhe kab ras aaengi agar shahnaiyan baKHshin
muqayyad the agarche shish-mahlon mein hasin paikar
magar raushan charaghon ne hamein parchhaiyan baKHshin
tilism-e-be-hisi TuTa shuur-e-agahi jaga
nigah-e-shauq ne jab husn ko angDaiyan baKHshin
hamare ashk-e-gham 'talib' sharare hi sahi phir bhi
shararon hi ne ru-e-zist ko ranaiyan baKHshin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.