jahan nifaq ke shoale milen bujha ke chalo
jahāñ nifāq ke sho.ale mileñ bujhā ke chalo
charāġh amn-o-mohabbat kā tum jalā ke chalo
tumhāre ba.ad bhī ā.eñge qāfile yaaro
mileñ jo raah meñ kāñTe unheñ haTā ke chalo
abhī to kaam inheñ bhī bahut se karne haiñ
numūd-e-sub.h hai sotoñ ko bhī jagā ke chalo
ishāra vaqt kā ye hai ki ai jahāñ vaalo
niyāz-o-nāz kī tafrīq ko miTā ke chalo
bhaTak rahe hoñ jo rāhoñ meñ deñge tum ko duā
bujhe charāġh sar-e-rahguzar jalā ke chalo
tumheñ bhī zindagī-e-jāvedāñ mayassar ho
vafā kī raah meñ dil ko agar miTā ke chalo
mile haiñ hosh-o-ḳhirad is liye tumheñ 'sāqī'
junūñ kī raah meñ hosh-o-ḳhirad luTā ke chalo
jahan nifaq ke shoale milen bujha ke chalo
charagh amn-o-mohabbat ka tum jala ke chalo
tumhaare baad bhi aaenge qafile yaro
milen jo rah mein kanTe unhen haTa ke chalo
abhi to kaam inhen bhi bahut se karne hain
numud-e-subh hai soton ko bhi jaga ke chalo
ishaara waqt ka ye hai ki ai jahan walo
niyaz-o-naz ki tafriq ko miTa ke chalo
bhaTak rahe hon jo rahon mein denge tum ko dua
bujhe charagh sar-e-rahguzar jala ke chalo
tumhein bhi zindagi-e-jawedan mayassar ho
wafa ki rah mein dil ko agar miTa ke chalo
mile hain hosh-o-KHirad is liye tumhein 'saqi'
junun ki rah mein hosh-o-KHirad luTa ke chalo
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 18)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.