jahan-panah kahan mera gham samajhte hain
jahāñ-panāh kahāñ merā ġham samajhte haiñ
qalam ke dard ko ahl-e-qalam samajhte haiñ
faqīh-e-shahr kā mansab unhī ko miltā hai
jo qasr-e-shāh ko bāb-e-haram samajhte haiñ
ab apne dard kā ehsās baḌh gayā hai bahut
kisī ke dard ko ab log kam samajhte haiñ
uThāne do unheñ dīvār-e-dushmanī lekin
giregī kaise ye dīvār ham samajhte haiñ
nazar kisī kī taraf hai to dil kisī kī taraf
tirī adā-e-taḳhātub ko ham samajhte haiñ
zamāne dekhe haiñ is aañkh ne jo ab chup hai
ye hoñT talḳhī-e-sahbā-o-sam samajhte haiñ
isī liye to hameñ ġham 'atā kiye us ne
ki us ke ġham kī nazākat ko ham samajhte haiñ
ham ahl-e-shauq haiñ aise hī tishnagāñ meñ 'bashīr'
jo shāḳh-e-gul ko hī dast-e-sanam samajhte haiñ
jahan-panah kahan mera gham samajhte hain
qalam ke dard ko ahl-e-qalam samajhte hain
faqih-e-shahr ka mansab unhi ko milta hai
jo qasr-e-shah ko bab-e-haram samajhte hain
ab apne dard ka ehsas baDh gaya hai bahut
kisi ke dard ko ab log kam samajhte hain
uThane do unhen diwar-e-dushmani lekin
giregi kaise ye diwar hum samajhte hain
nazar kisi ki taraf hai to dil kisi ki taraf
teri ada-e-taKHatub ko hum samajhte hain
zamane dekhe hain is aankh ne jo ab chup hai
ye honT talKHi-e-sahba-o-sam samajhte hain
isi liye to hamein gham 'ata kiye us ne
ki us ke gham ki nazakat ko hum samajhte hain
hum ahl-e-shauq hain aise hi tishnagan mein 'bashir'
jo shaKH-e-gul ko hi dast-e-sanam samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.