jahan pe chhoDi thi baat dil ki wahin se jari zarur karte
jahan pe chhoDi thi baat dil ki wahin se jari zarur karte
Muhammad Raza Hyderi
MORE BYMuhammad Raza Hyderi
jahāñ pe chhoḌī thī baat dil kī vahīñ se jaarī zarūr karte
agar vo suntā hamārī bāteñ to baat saarī zarūr karte
ḳhudā se fursat nahīñ milegī ḳhudā ke bandoñ ko aaj varna
ḳhudā ke bande ḳhudā kī ḳhātir madad hamārī zarūr karte
azāb-e-dozaḳh kā ḳhauf bhī hai husūl-e-jannat kā shauq bhī hai
jo ye na hote to dil se puujā ye sab pujārī zarūr karte
ab aur himmat nahīñ hai ham meñ tumhārī chāloñ se thak chuke haiñ
yaqīn tum par zarā bhī hotā to phir se yaarī zarūr karte
kisī ne pūchhā ki aap hote to jaan ham par nisār karte
dimāġh meñ thā kabhī na karte zabāñ-pukārī zarūr karte
laboñ ko sī kar ġhamoñ ko pī kar bharam mohabbat kā rakh liyā hai
vagarna le le ke naam terā ham āh-o-zārī zarūr karte
jahan pe chhoDi thi baat dil ki wahin se jari zarur karte
agar wo sunta hamari baaten to baat sari zarur karte
KHuda se fursat nahin milegi KHuda ke bandon ko aaj warna
KHuda ke bande KHuda ki KHatir madad hamari zarur karte
azab-e-dozaKH ka KHauf bhi hai husul-e-jannat ka shauq bhi hai
jo ye na hote to dil se puja ye sab pujari zarur karte
ab aur himmat nahin hai hum mein tumhaari chaalon se thak chuke hain
yaqin tum par zara bhi hota to phir se yari zarur karte
kisi ne puchha ki aap hote to jaan hum par nisar karte
dimagh mein tha kabhi na karte zaban-pukari zarur karte
labon ko si kar ghamon ko pi kar bharam mohabbat ka rakh liya hai
wagarna le le ke nam tera hum aah-o-zari zarur karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.