jahan pe phul the aur yaad bhi tumhaari thi
jahāñ pe phuul the aur yaad bhī tumhārī thī
usī paḌāv pe ham ne thakan utārī thī
usī kā aks thā vo chāñd thā ki sūraj thā
magar vo dekhne vaalī nazar hamārī thī
subuk-ḳhirām chalā aur kabhī maiñ Thahrā rahā
ki merī apne hī saa.e se jañg jaarī thī
maiñ apne ḳhvāb ke andar bhī ḳhvāb dekhtā thā
khulī jab aañkh to ik kapkapī sī taarī thī
maiñ us ke dil se jab utrā to zaḳhm aa.e nazar
ki us ke mīThe se lahje meñ sañg-bārī thī
maiñ us ke hijr kī ātish meñ kuchh jalā aise
kaḌā thā din bhī bahut raat mujh pe bhārī thī
maiñ shāḳh-e-dil se uThātā thā phuul girye ke
adū kī aañkh meñ manzar vo tez aarī thī
jahan pe phul the aur yaad bhi tumhaari thi
usi paDaw pe hum ne thakan utari thi
usi ka aks tha wo chand tha ki suraj tha
magar wo dekhne wali nazar hamari thi
subuk-KHiram chala aur kabhi main Thahra raha
ki meri apne hi sae se jang jari thi
main apne KHwab ke andar bhi KHwab dekhta tha
khuli jab aankh to ek kapkapi si tari thi
main us ke dil se jab utra to zaKHm aae nazar
ki us ke miThe se lahje mein sang-bari thi
main us ke hijr ki aatish mein kuchh jala aise
kaDa tha din bhi bahut raat mujh pe bhaari thi
main shaKH-e-dil se uThata tha phul girye ke
adu ki aankh mein manzar wo tez aari thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.