jahan ras mujhe aa gaya jahan ko main
jahān raas mujhe aa gayā jahān ko maiñ
so moḌtā huuñ ab apnī taraf kamān ko maiñ
mirī zamīn ko jaise usī ne chhīnā ho
kabhī kabhī to yuuñ taktā huuñ āsmān ko maiñ
yaqīn kar ki tirī be-ruḳhī se pahle bhī
kabhī bharā nahīñ rakhtā thā phūl-dān ko maiñ
zarā sī dhuup zarūrī hai har kisī ke liye
yahī batā nahīñ paatā huuñ sā.ebān ko maiñ
us ek lamhe mujhe yaad kyoñ nahīñ rahtā
adhūrā chhoḌ bhī saktā huuñ imtihān ko maiñ
ḳhudā kare koī kirdār aisā mil jaa.e
ki dāstān mujhe khīñche dāstān ko maiñ
'amit-bajāj’ ye fe’lun mafā’ilun kyā hai
nahīñ samajhtā hunar aisī khīñch-tān ko maiñ
jahan ras mujhe aa gaya jahan ko main
so moDta hun ab apni taraf kaman ko main
meri zamin ko jaise usi ne chhina ho
kabhi kabhi to yun takta hun aasman ko main
yaqin kar ki teri be-ruKHi se pahle bhi
kabhi bhara nahin rakhta tha phul-dan ko main
zara si dhup zaruri hai har kisi ke liye
yahi bata nahin pata hun saeban ko main
us ek lamhe mujhe yaad kyon nahin rahta
adhura chhoD bhi sakta hun imtihan ko main
KHuda kare koi kirdar aisa mil jae
ki dastan mujhe khinche dastan ko main
'amit-bajaj’ ye fe’lun mafa’ilun kya hai
nahin samajhta hunar aisi khinch-tan ko main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.