jahan raqs karte ujale mile
jahāñ raqs karte ujāle mile
vahīñ dil ke TuuTe shivāle mile
na pūchho bahāroñ ke rahm-o-karam
ki phūloñ ke hāthoñ meñ chhāle mile
mirī tīra-baḳhtī aur un kī hañsī
siyāhī meñ kirnoñ ke bhāle mile
na kuchh motiyoñ kī kamī thī magar
bhañvar se hameñ sirf haale mile
maiñ vo raushnī kā nagar huuñ jahāñ
charāġhoñ ke chehre bhī kaale mile
dimāġhoñ se un ko miTāoge kyā
kitāboñ se jin ke havāle mile
hamārī vafā.eñ ThiThurtī raheñ
tumheñ rahmatoñ ke doshāle mile
thī 'rāhī' kī manzil bhī sab se alag
use ham-safar bhī nirāle mile
jahan raqs karte ujale mile
wahin dil ke TuTe shiwale mile
na puchho bahaaron ke rahm-o-karam
ki phulon ke hathon mein chhaale mile
meri tira-baKHti aur un ki hansi
siyahi mein kirnon ke bhaale mile
na kuchh motiyon ki kami thi magar
bhanwar se hamein sirf haale mile
main wo raushni ka nagar hun jahan
charaghon ke chehre bhi kale mile
dimaghon se un ko miTaoge kya
kitabon se jin ke hawale mile
hamari wafaen ThiThurti rahen
tumhein rahmaton ke doshaale mile
thi 'rahi' ki manzil bhi sab se alag
use ham-safar bhi nirale mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.