jahan raqs-kunan hai ki dhun mohabbat hai
jahān raqs-kunāñ hai ki dhun mohabbat hai
nizām-e-dahr kā pahlā shagun mohabbat hai
ham ahl-e-ishq zamāne ke kaam ke to nahīñ
hamāre paas faqat ek gun mohabbat hai
hamāre jism aziyyat kī bheñT chaḌhne do
hamārā dil hai mohabbat meñ sun mohabbat hai
bichhaḌte vaqt faqat muskurā ke dekhā thā
maiñ us ko bol na paayā ki sun mohabbat hai
jahan raqs-kunan hai ki dhun mohabbat hai
nizam-e-dahr ka pahla shagun mohabbat hai
hum ahl-e-ishq zamane ke kaam ke to nahin
hamare pas faqat ek gun mohabbat hai
hamare jism aziyyat ki bhenT chaDhne do
hamara dil hai mohabbat mein sun mohabbat hai
bichhaDte waqt faqat muskura ke dekha tha
main us ko bol na paya ki sun mohabbat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.