jahan sawal KHushi na-KHushi ka aa jae
jahāñ savāl ḳhushī nā-ḳhushī kā aa jaa.e
ḳhamoshiyoñ meñ vahāñ mudda.ā kahā jaa.e
dil-o-nazar ke ujāle dikhā.eñge rāheñ
chale chalo ki jahāñ tak ye silsilā jaa.e
mile panāh na alfāz meñ ġham-e-dil ko
koī sune bhī to kyūñkar bayāñ kiyā jaa.e
nashāt-e-dīd na ho bā.is-e-shikast-e-nazar
nigāh-e-dil meñ koī is adā se aa jaa.e
ye faisla bhī to hotā nazar nahīñ aatā
parāyā kaun hai apnā kise kahā jaa.e
palaT palaT ke nazāroñ ko dekhne vaalā
qadam qadam pe nazar ko sañbhāltā jaa.e
udhar vo un kī nazar kaif-o-imbisāt-angez
idhar ye dil ki ba-har-lamha TūTtā jaa.e
hazār vaj.h-e-nadāmat ho ye ravish lekin
ḳhulūs-e-dil kā 'rishī' haq adā kiyā jaa.e
jahan sawal KHushi na-KHushi ka aa jae
KHamoshiyon mein wahan muddaa kaha jae
dil-o-nazar ke ujale dikhaenge rahen
chale chalo ki jahan tak ye silsila jae
mile panah na alfaz mein gham-e-dil ko
koi sune bhi to kyunkar bayan kiya jae
nashat-e-did na ho bais-e-shikast-e-nazar
nigah-e-dil mein koi is ada se aa jae
ye faisla bhi to hota nazar nahin aata
paraya kaun hai apna kise kaha jae
palaT palaT ke nazaron ko dekhne wala
qadam qadam pe nazar ko sanbhaalta jae
udhar wo un ki nazar kaif-o-imbisat-angez
idhar ye dil ki ba-har-lamha TuTta jae
hazar wajh-e-nadamat ho ye rawish lekin
KHulus-e-dil ka 'rishi' haq ada kiya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.