jahan se alag ek jahan chahta hun
jahāñ se alag ik jahāñ chāhtā huuñ
zamīñ aur nayā āsmāñ chāhtā huuñ
añdhere mujhe raas aane lage haiñ
ki maiñ raushnī kā ziyāñ chāhtā huuñ
kahīñ zulm ho log āvāz uThā.eñ
ki maiñ sab ke muñh meñ zabāñ chāhtā huuñ
mire dil ko bhātī haiñ amvāj-e-sarkash
samundar huuñ koh-e-girāñ chāhtā huuñ
jahan se alag ek jahan chahta hun
zamin aur naya aasman chahta hun
andhere mujhe ras aane lage hain
ki main raushni ka ziyan chahta hun
kahin zulm ho log aawaz uThaen
ki main sab ke munh mein zaban chahta hun
mere dil ko bhati hain amwaj-e-sarkash
samundar hun koh-e-giran chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.