jahan se be-talluq aap se begana ho jae
jahāñ se be-ta.alluq aap se begāna ho jaa.e
baḌā hoshiyār hai vo jo tirā dīvāna ho jaa.e
raheñ baaqī na us ke hosh vo dīvāna ho jaa.e
karam jis par tirā ai jalva-e-jānāna ho jaa.e
na kyuuñ vo be-niyāz-e-shīsha-o-paimāna ho jaa.e
tumhārī mast mast āñkhoñ kā jo mastāna ho jaa.e
adā-o-nāz aur andāz kā shaidā na ho jaa.e
mirā nāzoñ kā paalā dil kahīñ un kā na ho jaa.e
jabīn-e-shauq ho sañg-e-dar-e-jānāñ se mas aisī
jabīn-e-shauq hī sañg-e-dar-e-jānāñ na ho jaa.e
haqīqat meñ vahī dil mustahiq hai dil dukhāne kā
tirī sham-e-ruḳh-e-raushan kā jo parvāna ho jaa.e
karāmat piine vāloñ kī abhī dekhī nahīñ vaa.iz
jahāñ jam jaa.eñ bāda-kash vahīñ paimāna ho jaa.e
sadā-e-'sābir'-e-ġhamgīñ sunī jab apne kūche meñ
kahā ki kyā kareñ koī agar dīvāna ho jaa.e
jahan se be-talluq aap se begana ho jae
baDa hoshiyar hai wo jo tera diwana ho jae
rahen baqi na us ke hosh wo diwana ho jae
karam jis par tera ai jalwa-e-jaanana ho jae
na kyun wo be-niyaz-e-shisha-o-paimana ho jae
tumhaari mast mast aankhon ka jo mastana ho jae
ada-o-naz aur andaz ka shaida na ho jae
mera nazon ka pala dil kahin un ka na ho jae
jabin-e-shauq ho sang-e-dar-e-jaanan se mas aisi
jabin-e-shauq hi sang-e-dar-e-jaanan na ho jae
haqiqat mein wahi dil mustahiq hai dil dukhane ka
teri sham-e-ruKH-e-raushan ka jo parwana ho jae
karamat pine walon ki abhi dekhi nahin waiz
jahan jam jaen baada-kash wahin paimana ho jae
sada-e-'sabir'-e-ghamgin suni jab apne kuche mein
kaha ki kya karen koi agar diwana ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.