jahan se haarne par dosto aisa bhi hota hai
jahāñ se hārne par dosto aisā bhī hotā hai
haqīqat chhoḌ kar insāñ yahāñ sapnoñ meñ khotā hai
charāġhoñ kī hamesha qadr hotī hai añdheroñ meñ
zamāna juuñ kisī ke chhoḌ kar jaane pe rotā hai
kabhī rutba diyā yāroñ ko gul-daste ke phūloñ kā
sajā kar phir na.e phūloñ ko tū rishte Dubotā hai
ġhalat kuchh kaam insāñ zindagī meñ kar bhī le to kyā
hameñ ye dekhnā hai kyā use afsos hotā hai
kahāñ dikhtā hai ham ko kyā guzartī hai kisānoñ par
kamī aksar samar kī Dar zarar kā le ke sotā hai
vo pāyal paañv meñ tere vo biñdī tere māthe par
tasavvur bas yahī aksar merī āñkhoñ meñ hotā hai
samajh ye haal hai terā ye mustaqbil bhī terā hai
qadam aage baḌā 'hāsil' tū kyoñ maazī pe rotā hai
jahan se haarne par dosto aisa bhi hota hai
haqiqat chhoD kar insan yahan sapnon mein khota hai
charaghon ki hamesha qadr hoti hai andheron mein
zamana jun kisi ke chhoD kar jaane pe rota hai
kabhi rutba diya yaron ko gul-daste ke phulon ka
saja kar phir nae phulon ko tu rishte Dubota hai
ghalat kuchh kaam insan zindagi mein kar bhi le to kya
hamein ye dekhna hai kya use afsos hota hai
kahan dikhta hai hum ko kya guzarti hai kisanon par
kami aksar samar ki Dar zarar ka le ke sota hai
wo payal panw mein tere wo bindi tere mathe par
tasawwur bas yahi aksar meri aankhon mein hota hai
samajh ye haal hai tera ye mustaqbil bhi tera hai
qadam aage baDa 'hasil' tu kyon mazi pe rota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.