jahan sharab ka maine gilas dekha hai
jahāñ sharāb kā maiñ ne gilās dekhā hai
ġham-e-hayāt tujhe bad-havās dekhā hai
jo inkisār hai merā hijāb-ālūda
tire ġhurūr ko bhī be-libās dekhā hai
kisī amiir kā kaif-o-surūr yaad aayā
kisī ġharīb ko jab bhī udaas dekhā hai
hameñ fareb diyā hai us aadmī ne zarūr
jise zarā sā bhī chehra-shanās dekhā hai
mirī hayāt se vāqif nahīñ qalam merā
ki shā'irī ne faqat iqtibās dekhā hai
jahan sharab ka main ne gilas dekha hai
gham-e-hayat tujhe bad-hawas dekha hai
jo inkisar hai mera hijab-aluda
tere ghurur ko bhi be-libas dekha hai
kisi amir ka kaif-o-surur yaad aaya
kisi gharib ko jab bhi udas dekha hai
hamein fareb diya hai us aadmi ne zarur
jise zara sa bhi chehra-shanas dekha hai
meri hayat se waqif nahin qalam mera
ki sha'iri ne faqat iqtibas dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.