jahan tak ho sake KHud ko bacha badnam hone se
jahāñ tak ho sake ḳhud ko bachā badnām hone se
mohabbat ḳhatm hotī hai mohabbat 'aam hone se
mirā patjhaḌ ke mausam se ta'alluq hī sahī lekin
maiñ kaise rok saktā huuñ tujhe gulfām hone se
ye merā dil hai is meñ vaqt kī tartīb ulTī hai
yahāñ par din nikaltā hai añdherī shaam hone se
miyāñ tum ne mujhe ḳhud tak nahīñ mahdūd kar rakkhā
mirā haq mujh pe rahtā hai tumhāre naam hone se
kahīñ bhī baat ho merā havāla aa hī jaatā hai
mohabbat ne bachāyā hai mujhe gumnām hone se
vo saarā din bitātī hai daraḳhtoñ kī rifāqat meñ
magar Dartī hai jangal meñ añdherī shaam hone se
mohabbat ḳhūb-sūrat hai bahut hī ḳhūb-sūrat hai
magar ai ḳhūb-rū is ko bachā ilzām hone se
mujhe to yaad hai 'anjum' nasīhat 'mīr' sāhib kī
milegī kāmyābī 'ishq meñ nākām hone se
jahan tak ho sake KHud ko bacha badnam hone se
mohabbat KHatm hoti hai mohabbat 'am hone se
mera patjhaD ke mausam se ta'alluq hi sahi lekin
main kaise rok sakta hun tujhe gulfam hone se
ye mera dil hai is mein waqt ki tartib ulTi hai
yahan par din nikalta hai andheri sham hone se
miyan tum ne mujhe KHud tak nahin mahdud kar rakkha
mera haq mujh pe rahta hai tumhaare nam hone se
kahin bhi baat ho mera hawala aa hi jata hai
mohabbat ne bachaya hai mujhe gumnam hone se
wo sara din bitati hai daraKHton ki rifaqat mein
magar Darti hai jangal mein andheri sham hone se
mohabbat KHub-surat hai bahut hi KHub-surat hai
magar ai KHub-ru is ko bacha ilzam hone se
mujhe to yaad hai 'anjum' nasihat 'mir' sahib ki
milegi kaamyabi 'ishq mein nakaam hone se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.