jahan tak ranj-e-duniya hai diye jao
jahāñ tak ranj-e-duniyā hai diye jaao
hamāre dil ke tum TukḌe kiye jaao
faqat ik dil ke pīchhe ham bigāḌeñ
ḳhafā kyuuñ ho rahe ho lo liye jaao
lagā do haath ik chalte hī chalte
zarā sā kaam hai merā kiye jaao
na uTTho ġhair kī ḳhātir yahāñ se
vo ḳhud aa jā.egā tum kis liye jaao
'sharaf' bhar bhar ke dete haiñ vo ḳhud jaam
piye jaao piye jaao piye jaao
jahan tak ranj-e-duniya hai diye jao
hamare dil ke tum TukDe kiye jao
faqat ek dil ke pichhe hum bigaDen
KHafa kyun ho rahe ho lo liye jao
laga do hath ek chalte hi chalte
zara sa kaam hai mera kiye jao
na uTTho ghair ki KHatir yahan se
wo KHud aa jaega tum kis liye jao
'sharaf' bhar bhar ke dete hain wo KHud jam
piye jao piye jao piye jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.