jahan tak yaad-e-yar aati rahegi
jahāñ tak yād-e-yār aatī rahegī
fasāne ġham ke dohrātī rahegī
lahū dil kā na hogā ḳhatm jab tak
mohabbat zindagī paatī rahegī
bhulā.egā zamāna mujh ko jitnā
mirī har baat yaad aatī rahegī
bajātā chal divāne saaz dil kā
tamannā har qadam gaatī rahegī
sañvāregā tū jitnā zulf-e-hastī
ye nāgin itnā bal khātī rahegī
jahāñ meñ maut se bhāgoge jitnā
ye utnā bāñheñ phailātī rahegī
tamannā.eñ mirī puurī na karnā
mirī dīvāngī jaatī rahegī
ye duniyā jab talak qaa.em hai 'naushād'
hamāre giit dohrātī rahegī
jahan tak yaad-e-yar aati rahegi
fasane gham ke dohraati rahegi
lahu dil ka na hoga KHatm jab tak
mohabbat zindagi pati rahegi
bhulaega zamana mujh ko jitna
meri har baat yaad aati rahegi
bajata chal diwane saz dil ka
tamanna har qadam gati rahegi
sanwarega tu jitna zulf-e-hasti
ye nagin itna bal khati rahegi
jahan mein maut se bhagoge jitna
ye utna banhen phailati rahegi
tamannaen meri puri na karna
meri diwangi jati rahegi
ye duniya jab talak qaem hai 'naushad'
hamare git dohraati rahegi
- Book : Aathwan Sur (Pg. 164)
- Author : Naushad Ali
- Publication : Naushad Academi Of Hindustani Sangeet (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.