jahan tum jalwa-gar hote wahan par tur ho jata
jahāñ tum jalva-gar hote vahāñ par tuur ho jaatā
zamīñ kā zarra zarra nuur se māmūr ho jaatā
maiñ tujh ko dekh kar mastī meñ aisā chuur ho jaatā
ki duniyā kyā hai apne aap se bhī duur ho jaatā
ġhanīmat hai uchaTtī hī nazar un kī paḌī mujh par
maiñ kyā kartā nazar kā vaar agar bharpūr ho jaatā
zarā sī jur.at-e-kirdār bhī hotī agar ham meñ
zamāna ruḳh badalne ke liye majbūr ho jaatā
faqat shohrat nahīñ hai maqsad-e-sher-o-suḳhan 'ārif'
zarā koshish jo kartā maiñ bahut mash.hūr ho jaatā
jahan tum jalwa-gar hote wahan par tur ho jata
zamin ka zarra zarra nur se mamur ho jata
main tujh ko dekh kar masti mein aisa chur ho jata
ki duniya kya hai apne aap se bhi dur ho jata
ghanimat hai uchaTti hi nazar un ki paDi mujh par
main kya karta nazar ka war agar bharpur ho jata
zara si jurat-e-kirdar bhi hoti agar hum mein
zamana ruKH badalne ke liye majbur ho jata
faqat shohrat nahin hai maqsad-e-sher-o-suKHan 'arif'
zara koshish jo karta main bahut mashhur ho jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.