jahan uske jalwe se mamur hai
jahāñ us ke jalve se māmūr hai
jidhar dekhiye nuur hī nuur hai
rag-e-jāñ se bhī hai vo nazdīk-tar
nigāhoñ se har-chand mash.hūr hai
shahanshāh tū hī hai ai zul-jalāl
tirā banda qaisar hai maġhfūr hai
bañdhī hai har ik dil meñ terī hī dhun
har ik lab pe terā hī mazkūr hai
tirā jalva rag rag meñ hai misl-e-ḳhūñ
tire nuur se aañkh pur-nūr hai
tire shukr kā haq adā kis se ho
kahāñ aadmī kā ye maqdūr hai
ta.aqqul kī sarhad se bāhar hai tū
ahāte se idrāk ke duur hai
tirā nūr-e-vahdat taġhayyur se paak
talavvun mazāhir kā dastūr hai
tire fazl kā multajī hai 'ḳhayāl'
mahīnoñ se bechāra ranjūr hai
jahan us ke jalwe se mamur hai
jidhar dekhiye nur hi nur hai
rag-e-jaan se bhi hai wo nazdik-tar
nigahon se har-chand mashhur hai
shahanshah tu hi hai ai zul-jalal
tera banda qaisar hai maghfur hai
bandhi hai har ek dil mein teri hi dhun
har ek lab pe tera hi mazkur hai
tera jalwa rag rag mein hai misl-e-KHun
tere nur se aankh pur-nur hai
tere shukr ka haq ada kis se ho
kahan aadmi ka ye maqdur hai
taqqul ki sarhad se bahar hai tu
ahate se idrak ke dur hai
tera nur-e-wahdat taghayyur se pak
talawwun mazahir ka dastur hai
tere fazl ka multaji hai 'KHayal'
mahinon se bechaara ranjur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.