jahan wo zulf-e-barham kargar mahsus hoti hai
jahāñ vo zulf-e-barham kārgar mahsūs hotī hai
vahāñ Dhaltī huī har dopahar mahsūs hotī hai
vahī shai maqsad-e-qalb-o-nazar mahsūs hotī hai
kamī jis kī barābar umr bhar mahsūs hotī hai
jatan bhī kyā hasīñ sūjhā hai tujh ko pyaar karne kā
tirī sūrat mujhe apnī nazar mahsūs hotī hai
galī kūchoñ meñ sehn-e-mai-kada kā rañg hotā hai
mujhe duniyā tirā kaif-e-nazar mahsūs hotī hai
zarā aage chaloge to izāfa ilm meñ hogā
mohabbat pahle pahle be-zarar mahsūs hotī hai
ye do patthar na jaane kab se aapas meñ haiñ vābasta
jabīñ apnī tumhārā sañg-e-dar mahsūs hotī hai
kabhī sach to nahīñ us aañkh ne bolā magar phir bhī
ravayye meñ nihāyat mo'atabar mahsūs hotī hai
adam ab dostoñ kī be-ruḳhī kī hai ye kaifiyyat
khaTaktī to nahīñ itnī magar mahsūs hotī hai
jahan wo zulf-e-barham kargar mahsus hoti hai
wahan Dhalti hui har dopahar mahsus hoti hai
wahi shai maqsad-e-qalb-o-nazar mahsus hoti hai
kami jis ki barabar umr bhar mahsus hoti hai
jatan bhi kya hasin sujha hai tujh ko pyar karne ka
teri surat mujhe apni nazar mahsus hoti hai
gali kuchon mein sehn-e-mai-kada ka rang hota hai
mujhe duniya tera kaif-e-nazar mahsus hoti hai
zara aage chaloge to izafa ilm mein hoga
mohabbat pahle pahle be-zarar mahsus hoti hai
ye do patthar na jaane kab se aapas mein hain wabasta
jabin apni tumhaara sang-e-dar mahsus hoti hai
kabhi sach to nahin us aankh ne bola magar phir bhi
rawayye mein nihayat mo'atabar mahsus hoti hai
adam ab doston ki be-ruKHi ki hai ye kaifiyyat
khaTakti to nahin itni magar mahsus hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.