Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jahezon ke liye baDhti rahengi talKHiyan kab tak

Rauf Raheem

jahezon ke liye baDhti rahengi talKHiyan kab tak

Rauf Raheem

MORE BYRauf Raheem

    jahezoñ ke liye baḌhtī raheñgī talḳhiyāñ kab tak

    jalā.ī jā.eñgī sasurāl meñ ye laḌkiyāñ kab tak

    uḌā.eñge dinner meñ saare leader murġhiyāñ kab tak

    re.āyā kunDiyoñ meñ DhūñDh khaa.e haDDiyāñ kab tak

    gul-e-pazhmurda par āḳhir raheñgī titliyāñ kab tak

    rachāeñge janāb-e-shaiḳh āḳhir shādiyāñ kab tak

    hai ghar meñ team cricket zarā sharm kar zālim

    girānī ke zamāne meñ ye liimū kairiyāñ kab tak

    tumhāre va.ade va.ade haiñ kabhī puure nahīñ hote

    samundar meñ raheñgī kāġhzī ye kashtiyāñ kab tak

    muhāfiz jo dushman hoñ hamāre māl-o-izzat ke

    batāo kis tarah jhele re.āyā saḳhtiyāñ kab tak

    'rahīm' ab shā.irī chhoḌo lagāo paan Dibbā

    baghāreñge janāb-e-shaiḳh-chillī shaiḳhiyāñ kab tak

    jahezon ke liye baDhti rahengi talKHiyan kab tak

    jalai jaengi sasural mein ye laDkiyan kab tak

    uDaenge dinner mein sare leader murghiyan kab tak

    reaya kunDiyon mein DhunDh khae haDDiyan kab tak

    gul-e-pazhmurda par aaKHir rahengi titliyan kab tak

    rachaenge janab-e-shaiKH aaKHir shadiyan kab tak

    hai ghar mein team cricket ki zara tu sharm kar zalim

    girani ke zamane mein ye limu kairiyan kab tak

    tumhaare wade wade hain kabhi pure nahin hote

    samundar mein rahengi kaghzi ye kashtiyan kab tak

    muhafiz hi jo dushman hon hamare mal-o-izzat ke

    batao kis tarah jhele reaya saKHtiyan kab tak

    'rahim' ab shairi chhoDo lagao pan ka Dibba

    baghaarenge janab-e-shaiKH-chilli shaiKHiyan kab tak

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now