jaisa chaha waisa manzar dekha hai
jaisā chāhā vaisā manzar dekhā hai
ya.anī ham ne apne andar dekhā hai
un āñkhoñ ko dekhne vaale kahte haiñ
is duniyā ko ham ne behtar dekhā hai
jaane vaale tujh ko itnā yaad rahe
ham ne terā haath pakaḌ kar dekhā hai
terī kaise ban jaatī hai duniyā se
maiñ ne apnā aap badal kar dekhā hai
jaisa chaha waisa manzar dekha hai
yani hum ne apne andar dekha hai
un aankhon ko dekhne wale kahte hain
is duniya ko hum ne behtar dekha hai
jaane wale tujh ko itna yaad rahe
hum ne tera hath pakaD kar dekha hai
teri kaise ban jati hai duniya se
main ne apna aap badal kar dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.