Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaisa hun waisa kyun hun samjha sakta tha main

Iftikhar Arif

jaisa hun waisa kyun hun samjha sakta tha main

Iftikhar Arif

MORE BYIftikhar Arif

    jaisā huuñ vaisā kyuuñ huuñ samjhā saktā thā maiñ

    tum ne pūchhā to hotā batlā saktā thā maiñ

    āsūda rahne ḳhvāhish maar ga.ī varna

    aage aur bahut aage tak saktā thā maiñ

    chhoTī-moTī ek lahar thī mere andar

    ek lahar se kyā tūfān uThā saktā thā maiñ

    kahīñ kahīñ se kuchh misre ek-ādh ġhazal kuchh sher

    is pūñjī par kitnā shor machā saktā thā maiñ

    jaise sab likhte rahte haiñ ġhazleñ nazmeñ giit

    vaise likh likh kar ambār lagā saktā thā maiñ

    jaisa hun waisa kyun hun samjha sakta tha main

    tum ne puchha to hota batla sakta tha main

    aasuda rahne ki KHwahish mar gai warna

    aage aur bahut aage tak ja sakta tha main

    chhoTi-moTi ek lahar hi thi mere andar

    ek lahar se kya tufan uTha sakta tha main

    kahin kahin se kuchh misre ek-adh ghazal kuchh sher

    is punji par kitna shor macha sakta tha main

    jaise sab likhte rahte hain ghazlen nazmen git

    waise likh likh kar ambar laga sakta tha main

    RECITATIONS

    Iftikhar Arif

    Iftikhar Arif,

    Iftikhar Arif

    jaisa hun waisa kyun hun samjha sakta tha main Iftikhar Arif

    Source:

    Mahr-e-Do neem (Pg. 13)

    • Author: iftikhaar aarif
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now