jaisa huzur kahenge bilkul waisa hoga
jaisā huzūr kaheñge bilkul vaisā hogā
ya.anī phir guḌiyoñ kā khel-tamāshā hogā
mahal to holī dīvālī ke liye bane haiñ
aag kā ramaq to lā-vāris kā ḳhema hogā
khārī paanī kī jhīleñ sab bach jā.eñgī
luqma siyāh samundar kā bas dariyā hogā
merī terī aañkh kī qismat kañkar miTTī
un kī aañkh kī zīnat ho to surma hogā
dozaḳh ke sab darvāze to khule hue haiñ
jannat ke darvāze par kyā taalā hogā
sāhil par jab sabz farishte hī rahte haiñ
dariyā meñ phir kis ne zahr milāyā hogā
merā salām us shahzāde ko pahuñchā jis ke
be-sar jism pe ik bosīda kurtā hogā
jaisa huzur kahenge bilkul waisa hoga
yani phir guDiyon ka khel-tamasha hoga
mahal to holi diwali ke liye bane hain
aag ka ramaq to la-waris ka KHema hoga
khaari pani ki jhilen sab bach jaengi
luqma siyah samundar ka bas dariya hoga
meri teri aankh ki qismat kankar miTTi
un ki aankh ki zinat ho to surma hoga
dozaKH ke sab darwaze to khule hue hain
jannat ke darwaze par kya tala hoga
sahil par jab sabz farishte hi rahte hain
dariya mein phir kis ne zahr milaya hoga
mera salam us shahzade ko pahuncha jis ke
be-sar jism pe ek bosida kurta hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.