jaisa jaisa humne chaha waisa waisa ho gaya
jaisā jaisā ham ne chāhā vaisā vaisā ho gayā
dhīre dhīre haule haule rafta-rafta ho gayā
ab mohabbat bhī nahīñ hai aur shikāyat bhī nahīñ
baat maano yā na maano lekin aisā ho gayā
dekhte hī dekhte ahbāb ruḳhsat ho ga.e
dekhte hī dekhte jag meñ añdherā ho gayā
kis qadar shaffāf thā jab tak tirī āñkhoñ meñ thā
aa.ine tak aate aate 'aks mailā ho gayā
kaun kah saktā hai dil meñ aag kis lamhe lagī
pal do pal ke khel meñ ik pal ziyāda ho gayā
kis taraf se raat aa.ī kis taraf le ke ga.ī
maiñ ne to cigarette jalā.ī aur saverā ho gayā
munfarid hotā to mujh ko kyoñ koī pahchāntā
sach to ye hai maiñ bhī 'āmir' sab ke jaisā ho gayā
jaisa jaisa hum ne chaha waisa waisa ho gaya
dhire dhire haule haule rafta-rafta ho gaya
ab mohabbat bhi nahin hai aur shikayat bhi nahin
baat mano ya na mano lekin aisa ho gaya
dekhte hi dekhte ahbab ruKHsat ho gae
dekhte hi dekhte jag mein andhera ho gaya
kis qadar shaffaf tha jab tak teri aankhon mein tha
aaine tak aate aate 'aks maila ho gaya
kaun kah sakta hai dil mein aag kis lamhe lagi
pal do pal ke khel mein ek pal ziyaada ho gaya
kis taraf se raat aai kis taraf le ke gai
main ne to cigarette jalai aur sawera ho gaya
munfarid hota to mujh ko kyon koi pahchanta
sach to ye hai main bhi 'amir' sab ke jaisa ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.