jaisa suna tha waisa hai
jaisā sunā thā vaisā hai
vo mujh se bhī achchhā hai
pyaar kī bāteñ kartā hai
shāyad koī paglā hai
us kī baat na radd hogī
us ke paas to paisa hai
mere dushman kā lahja
aam ke jaisā mīThā hai
apnī manzil duur nahīñ
miil kā patthar kahtā hai
ġhairoñ jaisī baat na kar
tū to merā apnā hai
aag aur paanī kā rishta
kyā 'paikar' ho saktā hai
jaisa suna tha waisa hai
wo mujh se bhi achchha hai
pyar ki baaten karta hai
shayad koi pagla hai
us ki baat na radd hogi
us ke pas to paisa hai
mere dushman ka lahja
aam ke jaisa miTha hai
apni manzil dur nahin
mil ka patthar kahta hai
ghairon jaisi baat na kar
tu to mera apna hai
aag aur pani ka rishta
kya 'paikar' ho sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.