jaise chalti hai zamane ki hawa achchhi hai
jaise chalti hai zamane ki hawa achchhi hai
Bhagwan Khilnani Saqi
MORE BYBhagwan Khilnani Saqi
jaise chaltī hai zamāne kī havā achchhī hai
ghar ke ārām se bāhar kī balā achchhī hai
sharbatī zahr se kaḌvī sī davā achchhī hai
dost ke dhoke se dushman kī jafā achchhī hai
is liye ruuTh ke maiñ dekhnā chāhūñgā zarūr
kahte haiñ tere manāne kī adā achchhī hai
dekh kar shīsh-mahal merā ye daulat merī
har burī baat ko logoñ ne kahā achchhī hai
zindagī hai to burī bhī hai bhalī bhī 'sāqī'
mujh meñ donoñ se ulajhne kī kalā achchhī hai
jaise chalti hai zamane ki hawa achchhi hai
ghar ke aaram se bahar ki bala achchhi hai
sharbati zahr se kaDwi si dawa achchhi hai
dost ke dhoke se dushman ki jafa achchhi hai
is liye ruTh ke main dekhna chahunga zarur
kahte hain tere manane ki ada achchhi hai
dekh kar shish-mahal mera ye daulat meri
har buri baat ko logon ne kaha achchhi hai
zindagi hai to buri bhi hai bhali bhi 'saqi'
mujh mein donon se ulajhne ki kala achchhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.