jaise hi usne puchha ki rishta qubul hai
jaise hī us ne pūchhā ki rishta qubūl hai
yak dam mirī zabān se niklā qubūl hai
ab baat se palaTne nahīñ dūñgā maiñ tumheñ
sapne meñ tum ne mujh se kahā thā qubūl hai
maiñ ne ye rāsta kabhī dekhā nahīñ magar
tum saath ho to mujh ko bhaTaknā qubūl hai
tū bhī koī parā.ī añgūThī pahan chukā
maiñ bhī kisī se kah chukā rishta qubūl hai
mujh ko mire mizāj kā miltā nahīñ koī
so jaisā aap DhūñDh deñ vaisā qubūl hai
jaise hi us ne puchha ki rishta qubul hai
yak dam meri zaban se nikla qubul hai
ab baat se palaTne nahin dunga main tumhein
sapne mein tum ne mujh se kaha tha qubul hai
main ne ye rasta kabhi dekha nahin magar
tum sath ho to mujh ko bhaTakna qubul hai
tu bhi koi parai anguThi pahan chuka
main bhi kisi se kah chuka rishta qubul hai
mujh ko mere mizaj ka milta nahin koi
so jaisa aap DhunDh den waisa qubul hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.