jaise ho marham lagaya tir ne
jaise ho marham lagāyā tiir ne
is tarah kaaTā galā shamshīr ne
sar paTak kar dekhnā hai ek baar
ishq ko patthar kahā thā 'mīr' ne
us musavvir ke hunar ko dekh kar
rang ḳhud meñ bhar liye tasvīr ne
hai vo manzar chashm-e-tar kī qaid meñ
hañs ke chhoḌā thā ki jab zanjīr ne
ḳhvāb pyāse the hamāre mar ga.e
ḳhuun māñgā thā bahut ta.abīr ne
jaise ho marham lagaya tir ne
is tarah kaTa gala shamshir ne
sar paTak kar dekhna hai ek bar
ishq ko patthar kaha tha 'mir' ne
us musawwir ke hunar ko dekh kar
rang KHud mein bhar liye taswir ne
hai wo manzar chashm-e-tar ki qaid mein
hans ke chhoDa tha ki jab zanjir ne
KHwab pyase the hamare mar gae
KHun manga tha bahut tabir ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.