jaise hon naqab-kari ke aalat mere hath
jaise hoñ naqab-kārī ke ālāt mire haath
dastak se ulajhte rahe kal raat mire haath
qadmoñ se lipaT jaa.e furāt aaj bhī mere
dajla ke kināroñ se kareñ baat mire haath
mausīqī-e-bārāñ ho ki ho baat tumhārī
likhte haiñ baḌe shauq se naġhmāt mire haath
hai jis kā fusūñ dahr kī har shai meñ numāyāñ
us ke bhī raqam karte haiñ jazbāt mire haath
kartī raheñ abbās kā girya mirī āñkheñ
likhte raheñ zainab kī futūhāt mire haath
haiñ paak sabhī āl-e-nabī rijs se 'tābish'
tat.hīr se aaya hai ye isbāt mire haath
jaise hon naqab-kari ke aalat mere hath
dastak se ulajhte rahe kal raat mere hath
qadmon se lipaT jae furaat aaj bhi mere
dajla ke kinaron se karen baat mere hath
mausiqi-e-baran ho ki ho baat tumhaari
likhte hain baDe shauq se naghmat mere hath
hai jis ka fusun dahr ki har shai mein numayan
us ke bhi raqam karte hain jazbaat mere hath
karti rahen abbas ka girya meri aankhen
likhte rahen zainab ki futuhat mere hath
hain pak sabhi aal-e-nabi rijs se 'tabish'
tathir se aaya hai ye isbaat mere hath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.