jaise kaha ye kuze ne girdab ko lapeT
jaise kahā ye kuuze ne girdāb ko lapeT
dil jhaT se bol uTThā ki sanjāb ko lapeT
tū āb-e-zindagī kī haqīqat samajh ke tair
ik āftāb thaam ke tālāb ko lapeT
mujh se lipaT gayā thā koī misl-e-hādsāt
dil bolā apne jism pe ādāb ko lapeT
tū baat maan qaht meñ kashtī banā ai dost
phir apnī chappū-rānī se sailāb ko lapeT
chhuptā nahīñ hai raat kī chādar se chāñd bhī
ai yaar āstīn meñ mahtāb ko lapeT
'patras' ke daur se hī to lāhauriyoñ ne 'aun'
lahore ko kahā hai ki punjab ko lapeT
āḳhir kisī kā hukm to hai ashk ashk ko
bahne se pahle pahle kisī ḳhvāb ko lapeT
jaise kaha ye kuze ne girdab ko lapeT
dil jhaT se bol uTTha ki sanjab ko lapeT
tu aab-e-zindagi ki haqiqat samajh ke tair
ek aaftab tham ke talab ko lapeT
mujh se lipaT gaya tha koi misl-e-hadsat
dil bola apne jism pe aadab ko lapeT
tu baat man qaht mein kashti bana ai dost
phir apni chappu-rani se sailab ko lapeT
chhupta nahin hai raat ki chadar se chand bhi
ai yar aastin mein mahtab ko lapeT
'patras' ke daur se hi to lahauriyon ne 'aun'
lahore ko kaha hai ki punjab ko lapeT
aaKHir kisi ka hukm to hai ashk ashk ko
bahne se pahle pahle kisi KHwab ko lapeT
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.