jaise KHamosh-bayani ko bayan hone mein
jaise ḳhāmosh-bayānī ko bayāñ hone meñ
'umr lagtī hai yahāñ zamzama-ḳhvāñ hone meñ
itnā āsāñ na samajh jaan nikal jaatī hai
rāh-e-pur-ḳhār pe is tarh ravāñ hone meñ
aañkh khulte hī sukūt-e-shab-e-hijrāñ ne kahā
ek lamha hai bahut ḳhvāb dhuāñ hone meñ
kin marāhil se guzartā huā pohñchā hai yahāñ
zabt se pūchh jo guzrī hai fuġhāñ hone meñ
is se behtar thā ki taslīm na honā kartā
ḳhud ko be-sarfa kiyā sarf-e-jahāñ hone meñ
zindagī biit ga.ī jis ko banāte hue ghar
ek lamha na lagā us ko makāñ hone meñ
aur kuchh der meñ sūraj bhī nikal aa.egā
aur kuchh der hī baaqī hai azaañ hone meñ
jaise KHamosh-bayani ko bayan hone mein
'umr lagti hai yahan zamzama-KHwan hone mein
itna aasan na samajh jaan nikal jati hai
rah-e-pur-KHar pe is tarh rawan hone mein
aankh khulte hi sukut-e-shab-e-hijran ne kaha
ek lamha hai bahut KHwab dhuan hone mein
kin marahil se guzarta hua pohncha hai yahan
zabt se puchh jo guzri hai fughan hone mein
is se behtar tha ki taslim na hona karta
KHud ko be-sarfa kiya sarf-e-jahan hone mein
zindagi bit gai jis ko banate hue ghar
ek lamha na laga us ko makan hone mein
aur kuchh der mein suraj bhi nikal aaega
aur kuchh der hi baqi hai azan hone mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.