jaise KHushbu ko saliqe se saba le jae
jaise ḳhushbū ko salīqe se sabā le jaa.e
koī aise hī mujhe mujh se chhuḌā le jaa.e
marhala-vār bikhartī hī ga.ī huuñ ḳhud meñ
ab jidhar chāhe havā mujh ko uḌā le jaa.e
jāzbiyyat hai baḌī raunaq-e-duniyā tujh meñ
ik ġhazāl aa.e mujhe sab se bachā le jaa.e
haa.e vo garmī-e-bāzār-e-tamanna ki mujhe
har talab ḳhvāb ke naake pe biThā le jaa.e
ab vo chehra na ḳhad-o-ḳhāl haiñ baaqī mere
koī tasvīr se sab rang churā le jaa.e
roz aatā hai mirī ḳhalvat jaañ meñ koī
yaad kī bhiiḌ meñ chupke se uThā le jaa.e
husn marhūn-e-tamāshā-e-tamanna us kā
jo ki hāthoñ se mire rang-e-hinā le jaa.e
jaise KHushbu ko saliqe se saba le jae
koi aise hi mujhe mujh se chhuDa le jae
marhala-war bikharti hi gai hun KHud mein
ab jidhar chahe hawa mujh ko uDa le jae
jazbiyyat hai baDi raunaq-e-duniya tujh mein
ek ghazal aae mujhe sab se bacha le jae
hae wo garmi-e-bazar-e-tamanna ki mujhe
har talab KHwab ke nake pe biTha le jae
ab wo chehra na KHad-o-KHal hain baqi mere
koi taswir se sab rang chura le jae
roz aata hai meri KHalwat jaan mein koi
yaad ki bhiD mein chupke se uTha le jae
husn marhun-e-tamasha-e-tamanna us ka
jo ki hathon se mere rang-e-hina le jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.