jaise kisi se wasl ka wada wafa hua
jaise kisī se vasl kā va.ada vafā huā
yuuñ sub.h-dam charāġh se sho.ala judā huā
zahrāb-e-ġham kā koī asar ho to kis tarah
siine meñ dil hai dil bhī lahū meñ bujhā huā
tujh se sadā-bahār ko andesha-e-ḳhizāñ
puurā na ho ḳhudā kare terā kahā huā
is chashm-e-mai-farosh se pī jis kā ek umr
ik shaam kā bhī qarz ba-mushkil adā huā
detā hai mujh ko tark-e-mohabbat ke mashvare
tere sivā bhī hai koī dil meñ chhupā huā
jā.ūñ kahāñ ki tark-e-tamannā ke bāvajūd
hai har taraf hisār-e-tamannā khiñchā huā
jaise kisi se wasl ka wada wafa hua
yun subh-dam charagh se shoala juda hua
zahrab-e-gham ka koi asar ho to kis tarah
sine mein dil hai dil bhi lahu mein bujha hua
tujh se sada-bahaar ko andesha-e-KHizan
pura na ho KHuda kare tera kaha hua
is chashm-e-mai-farosh se pi jis ka ek umr
ek sham ka bhi qarz ba-mushkil ada hua
deta hai mujh ko tark-e-mohabbat ke mashware
tere siwa bhi hai koi dil mein chhupa hua
jaun kahan ki tark-e-tamanna ke bawajud
hai har taraf hisar-e-tamanna khincha hua
- Book : Sarkashidah (Pg. 307)
- Author : Sahba Akhtar
- Publication : Maktaba-e-Nadeem ke airia ko rangi Karachi (1977)
- Edition : 1977
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.