jaise koi rabt nahin ho jaise hon anjaane log
jaise koī rabt nahīñ ho jaise hoñ anjāne log
kyā se kyā ho jaate haiñ aksar jāne-pahchāne log
muñh se baat nikalte hī sau gaḌh leñge afsāne log
baiThe-baiThe bun lete haiñ kaise tāne-bāne log
dair-o-haram hī se duniyā ko hosh kī rāheñ miltī haiñ
dair-o-haram ke naam pe hī ban jaate haiñ dīvāne log
koī unheñ bhī to samjhā.e koī kuchh un se bhī kahe
jab dekho tab aa jaate haiñ mujh ko hī samjhāne log
hazrat-e-zāhid samjhā deñ to tauba kar luuñ maiñ bhī 'ra.īs'
bādal kyoñ chhā jaate haiñ jab jaate haiñ maiḳhāne log
jaise koi rabt nahin ho jaise hon anjaane log
kya se kya ho jate hain aksar jaane-pahchane log
munh se baat nikalte hi sau gaDh lenge afsane log
baiThe-baiThe bun lete hain kaise tane-bane log
dair-o-haram hi se duniya ko hosh ki rahen milti hain
dair-o-haram ke nam pe hi ban jate hain diwane log
koi unhen bhi to samjhae koi kuchh un se bhi kahe
jab dekho tab aa jate hain mujh ko hi samjhane log
hazrat-e-zahid samjha den to tauba kar lun main bhi 'rais'
baadal kyon chha jate hain jab jate hain maiKHane log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.