jaise main har ek shahr hi se shahr-badar tha
jaise maiñ har ik shahr hī se shahr-badar thā
ab yaad nahīñ paḌtā ki merā koī ghar thā
thī ḳhatm yahāñ aa ke har ik rāh-e-haqīqat
darpesh hameñ phir vahī ḳhvāboñ kā safar thā
ḳhāmosh thā maiñ yuuñ bhī ki samjhegā mujhe kaun
phir mujh ko mirī baat kī tardīd kā Dar thā
ye maiñ huuñ ye hai ḳhaak mirī dekhne vaalo
aur chand paloñ kā ye mirā raqs-e-sharar thā
ab aur to kuchh dā've se kahnā nahīñ mumkin
ik shā'ir-e-be-sāḳhta thā 'arsh' agar thā
jaise main har ek shahr hi se shahr-badar tha
ab yaad nahin paDta ki mera koi ghar tha
thi KHatm yahan aa ke har ek rah-e-haqiqat
darpesh hamein phir wahi KHwabon ka safar tha
KHamosh tha main yun bhi ki samjhega mujhe kaun
phir mujh ko meri baat ki tardid ka Dar tha
ye main hun ye hai KHak meri dekhne walo
aur chand palon ka ye mera raqs-e-sharar tha
ab aur to kuchh da'we se kahna nahin mumkin
ek sha'ir-e-be-saKHta tha 'arsh' agar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.