jaise pardes mein raaton ko watan khinchta hai
jaise pardes meñ rātoñ ko vatan khīñchtā hai
yuuñ tire dasht-navardoñ ko chaman khīñchtā hai
kis kī aaheñ yuuñ sar-e-dasht-e-talab gūñjtī haiñ
kaun vīrān manāzir se thakan khīñchtā hai
harf aa aa ke bajāte haiñ mirā darvāza
sher ho ho ke mire dil kī ghuTan khīñchtā hai
bojh Dhonā hai bahar-taur ho jaise-taise
varna yuuñ kaun ba-sad-shauq badan khīñchtā hai
ek hijrat hai ki tasvīr huī jaatī hai
ek qissa hai sū-e-bāġh-e-adan khīñchtā hai
ziist ik ahd ke dhāge se bañdhī chaltī hai
qabr har roz bulātī hai kafan khīñchtā hai
jaise pardes mein raaton ko watan khinchta hai
yun tere dasht-nawardon ko chaman khinchta hai
kis ki aahen yun sar-e-dasht-e-talab gunjti hain
kaun viran manazir se thakan khinchta hai
harf aa aa ke bajate hain mera darwaza
sher ho ho ke mere dil ki ghuTan khinchta hai
bojh Dhona hai bahar-taur ho jaise-taise
warna yun kaun ba-sad-shauq badan khinchta hai
ek hijrat hai ki taswir hui jati hai
ek qissa hai su-e-bagh-e-adan khinchta hai
zist ek ahd ke dhage se bandhi chalti hai
qabr har roz bulati hai kafan khinchta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.