jaise tazad hota hai lail-o-nahaar mein
jaise tazād hotā hai lail-o-nahār meñ
vaisā hī farq hotā hai qaul-o-qarār meñ
tum hī batāo kyā hai mire iḳhtiyār meñ
maiñ is bisāt-e-dahr pe huuñ kisī shumār meñ
kyā jaane kyā kashish hai ye musht-e-ġhubār meñ
jakḌe hue sabhī haiñ ġham-e-rozgār meñ
taḌpā hai ḳhuub māhī-e-be-āb kī tarah
ab bhī dil-e-hazīñ haiñ tire intizār meñ
mahsūs kar rahe haiñ magar bolte nahīñ
tabdīliyāñ jo aa.ī haiñ kirdār-e-yār meñ
ye inqalāb dekhā hai daur-e-jadīd kā
ġhaddār ḳhud ko ginte haiñ ab jāñ-nisār meñ
'maqsūd' vo bhī bahr-e-mulāqāt ā.eñge
pathrā ga.ī haiñ āñkheñ isī intizār meñ
jaise tazad hota hai lail-o-nahaar mein
waisa hi farq hota hai qaul-o-qarar mein
tum hi batao kya hai mere iKHtiyar mein
main is bisat-e-dahr pe hun kisi shumar mein
kya jaane kya kashish hai ye musht-e-ghubar mein
jakDe hue sabhi hain gham-e-rozgar mein
taDpa hai KHub mahi-e-be-ab ki tarah
ab bhi dil-e-hazin hain tere intizar mein
mahsus kar rahe hain magar bolte nahin
tabdiliyan jo aai hain kirdar-e-yar mein
ye inqalab dekha hai daur-e-jadid ka
ghaddar KHud ko ginte hain ab jaan-nisar mein
'maqsud' wo bhi bahr-e-mulaqat aaenge
pathra gai hain aankhen isi intizar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.