jaise tujhe tha sochna socha nahin gaya
jaise tujhe thā sochnā sochā nahīñ gayā
mujh se to terā ishq bhī likkhā nahīñ gayā
tujh se huuñ sharmsār tire husn ko kabhī
shiddat se inhimāk se dekhā nahīñ gayā
thī fikr-e-rozgār hī pesh-e-nazar mujhe
pahlū meñ tere vaqt guzārā nahīñ gayā
kuchh is liye bhī dard kī daulat nahīñ milī
mehnat ke saath zaḳhm kamāyā nahiñ gayā
al-muḳhtasar nasīb se sab kuchh milā mujhe
lekin phir ehtiyāt se bartā nahīñ gayā
'ātir' phir ek baar hukūmat thī ishq kī
aur mujh ko eqtidār meñ rakkhā nahīñ gayā
jaise tujhe tha sochna socha nahin gaya
mujh se to tera ishq bhi likkha nahin gaya
tujh se hun sharmsar tere husn ko kabhi
shiddat se inhimak se dekha nahin gaya
thi fikr-e-rozgar hi pesh-e-nazar mujhe
pahlu mein tere waqt guzara nahin gaya
kuchh is liye bhi dard ki daulat nahin mili
mehnat ke sath zaKHm kamaya nahin gaya
al-muKHtasar nasib se sab kuchh mila mujhe
lekin phir ehtiyat se barta nahin gaya
'atir' phir ek bar hukumat thi ishq ki
aur mujh ko eqtidar mein rakkha nahin gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.