jaisi hai aaj chahat pahle kabhi nahin thi
jaisī hai aaj chāhat pahle kabhī nahīñ thī
un se mujhe mohabbat pahle kabhī nahīñ thī
dete haiñ vo bhī mujh ko dil se du'ā.eñ har dam
jin ko mirī zarūrat pahle kabhī nahīñ thī
tum ne qadam rakhā to har gul mahak uThā hai
phūloñ meñ itnī nig.hat pahle kabhī nahīñ thī
jab se milā huuñ tum se ḳhushbū sī har taraf hai
mujh ko guloñ se raġhbat aisī kabhī nahīñ thī
ye kyā huā hai tum ko maiñ sochtā huuñ aksar
utrī to aisī sūrat pahle kabhī nahīñ thī
ye kis kī mehrbānī tujh par huī hai 'ahmad'
she'roñ meñ tere jiddat pahle kabhī nahīñ thī
jaisi hai aaj chahat pahle kabhi nahin thi
un se mujhe mohabbat pahle kabhi nahin thi
dete hain wo bhi mujh ko dil se du'aen har dam
jin ko meri zarurat pahle kabhi nahin thi
tum ne qadam rakha to har gul mahak uTha hai
phulon mein itni nighat pahle kabhi nahin thi
jab se mila hun tum se KHushbu si har taraf hai
mujh ko gulon se raghbat aisi kabhi nahin thi
ye kya hua hai tum ko main sochta hun aksar
utri to aisi surat pahle kabhi nahin thi
ye kis ki mehrbani tujh par hui hai 'ahmad'
she'ron mein tere jiddat pahle kabhi nahin thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.