jaisi KHwahish hoti he kab hota he
jaisī ḳhvāhish hotī he kab hotā he
chhoḌo bhī ab yaar chalo sab hotā he
ham be-kār hī sahme sahme rahte haiñ
jo honā hotā hai jab jab hotā he
merī būḌhī daadī aksar kahtī thiiñ
koī nahīñ hotā jis kā rab hotā he
dil bastī ko ujḌe barsoñ biit ga.e
yaad charāġhāñ ab bhī har shab hotā he
saare shā.er sher kahāñ kah paate haiñ
aksar to lafzoñ kā kartab hotā he
jaisi KHwahish hoti he kab hota he
chhoDo bhi ab yar chalo sab hota he
hum be-kar hi sahme sahme rahte hain
jo hona hota hai jab jab hota he
meri buDhi dadi aksar kahti thin
koi nahin hota jis ka rab hota he
dil basti ko ujDe barson bit gae
yaad charaghan ab bhi har shab hota he
sare shaer sher kahan kah pate hain
aksar to lafzon ka kartab hota he
- Book : Udas Lamhon Ke Mausam (Poetry) (Pg. 38)
- Author : Farooq Bakhshi
- Publication : Modern Publishing House (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.