jal gain aankhen sabhi KHush-rang chehre uD gae
jal ga.iiñ āñkheñ sabhī ḳhush-rañg chehre uḌ ga.e
aisī garmī thī ki ā.īnoñ ke paare uḌ ga.e
shaam tak bhī jab koī niklā na daana Dālne
aañkh bhar bhar kar muñDeroñ se parinde uḌ ga.e
ḳhushbuoñ ke rath se utre baal pochhā aur phir
titliyoñ ke dosh par kāfūrī lamhe uḌ ga.e
be-ḳhayālī mujh ko merī soch tak le aa.ī aur
chauñkte hī mere kāñdhe se farishte uḌ ga.e
sab ke sab kal harf harf almāriyoñ meñ band the
kis tarah āḳhir kitāboñ se navishte uḌ ga.e
aa gayā ḳhadshāt kī bāhoñ meñ yādoñ kā badan
ik dhamāka aur ḳhvāboñ ke parḳhache uḌ ga.e
thī baḌī saffāk mere ahd kī gūñgī havā
bas yahī ki gardanoñ se saare rishte uḌ ga.e
jal gain aankhen sabhi KHush-rang chehre uD gae
aisi garmi thi ki aainon ke pare uD gae
sham tak bhi jab koi nikla na dana Dalne
aankh bhar bhar kar munDeron se parinde uD gae
KHushbuon ke rath se utre baal pochha aur phir
titliyon ke dosh par kafuri lamhe uD gae
be-KHayali mujh ko meri soch tak le aai aur
chaunkte hi mere kandhe se farishte uD gae
sab ke sab kal harf harf almariyon mein band the
kis tarah aaKHir kitabon se nawishte uD gae
aa gaya KHadshat ki bahon mein yaadon ka badan
ek dhamaka aur KHwabon ke parKHache uD gae
thi baDi saffak mere ahd ki gungi hawa
bas yahi ki gardanon se sare rishte uD gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.